Tuesday 21 August 2012

Media Iftaari

Originally written on July 30, 2012.

Yaad atay hain bachpan kay rozay, woh ramzan kay mahinay
Saari Khushiyan qaid ki theen Jalebi ki dukan main kisi nay
Ek Sukoon tha, sabar tha, Saadgi thi fiza main
Samosay aur pakoray bhi shamil thay meri ghiza main
Masjidon main gharoon main hoti thi aman, bardasht aur sach ki baat
Aray main kesay bhool gaya woh dahi baray aur fruit chaat
Dastarkhawn toh ab bhi sajta hai hamara
Magar kuch alag andaaz say iftaar hota hai, ab hamara
Tv dekh kar kuch hojata hon main pareshan
Yeh Geo pay kara raha kon Ramzan say meri Pehchan
Chalo Ghalib film dekhna koi buri baat nahi, yeh mana
Mager behind the scene Amir bhai ko dekh chuka hai zamana
Yeh akalay nahi in jaisay aur bhi hain nadaan
ARY nay bhi basaya hai ajab Shehr-e-Ramadan
Jawan Larkay Larkiyon ki izzat jo tv per kerti thi nilaam
Woh Park wali Moral Police ab kerti hai Qaum ki iftaari ka ihtemaam
Ek Hindu ko Musalman kar kay Deen ka Jhanda lehratay hain
Kamal Deen hai kay Gojra, Rabwa aur Hazara main bachay is say ghabratay hain
Main Soochta tha har ek ka Imaan us ka zaati sarmaya hai 
Woh har cheez ka bazaar lagatay hain, yahan sab MAYA hai
Koshish kerta hon lakh per ati nahi sharam hai
Khoon thanda par gaya hai aur dard ki TASEER garam hai
Itna bay-his, itna madhosh, itna munafiq toh ho gaya hon meray yaar
Shayad kuch gunah kam he jotay gar Veena ker leti meray liye Astaghfaar

No comments:

Post a Comment

Your Feedback is requested! Be Critical, its encouraging and educating!